Sunday, November 29, 2009

Pas-e-aaina...

Parwaazon se darta hoon, khamoshi mein chhupi awaazon se darta hoon;
kuchh aise anjaam dekhe hain, ke ab aaghazon se darta hoon

Roothne-manane ke takalluf; kisiki aankhon mein ho jana masroof;
Ek umr phir kharchni pad jaaye jinpe, dil ke aise armaanon se darta hoon

Kholta hoon jab wo puraane waqt ki kitaab, muskurahatein maangti hain ashqon ka hisaab;
zehen se to mita chuka hoon har haseen kissa, magar tasveeron mein chhupi kahaniyon se darta hoon

parwaaz - flight, anjaam - end, aaghaz - beginning
takalluf - formality

--------------------------------------------------------------

aitbaar aur dhokhe ka kissa hai
teri meri jo kahani hai,
kirdar saaf nazar aate hain dekh,
tere hothon pe hansi hai, meri aankhon mein paani hai.

'aitbaar' and 'dhokha' are personified as characters of a story.
--------------------------------------------------------------

ittefaq phir wohi aaj ho jaaye,
main guzrun wahin se aur tu ek baar nazar aaye;
khwaab jo hai khoobsurat, haqeeqat ban jaaye,
may pyale se khaali ho kabhi aur maykashi ban jaaye

ittefaq - co-incident, may - sharaab, maykashi - nasha
--------------------------------------------------------------

kyun usi manzar par phir aa pahunchi hai zindagi?
tajurba ghum-e-aashiqui ka kam to nahi
patthar ka khuda ya armaanon ka raqeeb
rehnuma kaun hai is dil ka, main toh nahi.

raqeeb - enemy, rehnuma - guide
--------------------------------------------------------------

aaj phir ek sheher ki talash mein niklenge hum
aaj phir ek khamosh ehsaas mein jiyenge hum
aaj phir aaine mein apne purane aks ko dhoondhenge
aaj phir wohi safha palat kar padhenge hum

aks - reflection, safha - page of a book
--------------------------------------------------------------